फलों के गुण और फायदे

Aam khane ke fayde

Mango health benefits in hindi

Yeh sab hi jante hai ki aam falo ka raja hai. Shayad hi koi hoga jisko aam khana pasand nahi hoga. Aam apne aap me rass se bhara ek paryapt fal hai. Iski tulna kisi aur fal se karna bewakufi hi hogi. Aam har tarah se aapke body ko energy deta hai. 

Aaea batate hai Aam khane ke fayde in hindi :

• Cancer se bachata :

Kya aap jante hai ki aam khane se cancer jaisi badi aur gambhir bimari aapse durr rehti hai. Aam me polyfenals paya jata hai jo alag-alag tarah ke cancer hone se bachata hai. 

• Digestion me karta madad :

Aam khane se aapka digestion bhi acha rehta hai. Aam me fibre aur enzyme bharpur hote hai jisse aapka khana ache tarike se stomach me digest ho jata hai. Aapko bata de ki aam gastroinstinal disorder se bachata hai jo aapki pachan shakti ko majbut karta hai.

• Cholestrol ko karta kam :

Aam me kuch aise tatva maujud hote hai jo aapke cholesterol ko kam karte hai. Cholesterol me paya jane vala pactein aur vitamin C bad cholesterol ko kam karta hai jisse hamara heart hamesha safe rehta hai. 

Kharbuja khane ke fayde

• Weakness ko karta durr :

Jaisa ki humne pehle hi bataya tha ki aam khane se aap pure din energetic mehsus karenge. Yeh hamare sharir se kamjori ko durr bhaga deta hai. Peele peele aur rasile aam ko apne breakfast me shamil karea aur phir dekhiyea kamala. Isme maujud vitamin A aapke body ko bahut sara energy deta hai jo aapko hamesha active banaye rakhta hai. 

• Chehre ka raunak badhata :

Aam ke season me roj aam khane se aapka chehra damakne lagega. Chehre me ek alag hi chamak najar aane lagegi. Aapko bata de ki aam ka pulp vitamin A se bharpur hota hai. Agar chehre ko ise lagakar facepack ki tarah saaf kar lete hai to aapke chehre se pimples aur acne sab saaf ho jaenge. 

• Aankhon ki roshni badhata :

Aam khane se aapki aankhon ki roshani tej rahegi. Aankho ki kayi bimari jaise night blindness, day-light blindness se bacha ja sakta hai. Aankho me sukhapan mehsus agar aapko ho to aam ko jada matra me khana shuru kar de. 

• Memory badhane me karta madad :

Yeh baat bahut kam log jante hai ki aam ka sevan aapke dimag tak glutamic acid aur gaba acid ko pahuchata hai jisse memory badhti hai. Yehi nahi isse aapka dimag jyada alert aur sharp bhi rehta hai. 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment