घरेलू नुस्खे - घरेलू उपचार

Gora hone ke gharelu tips

fair skin home remedies n hindi

Janam ke saath god sabko apna-apna roop dekar bhejta hai, kisi ko thoda saawla, kisi ko kala to kisi ko gora banakar bhejta hai dharti par. Yun to rang matter nahi karna chahiye lekin aaj bhi log gore logo ki taraf jada attract hote hain. 

ladka ho ya ladki sabhi apna chehra gora banana ke liye duniya bhar ka costly products lagate chale jate hain lekin fayda kuch nahi hota. Yehi nahi koi bhi products lagane se aapke skin me side effects hone ka khatra hoya hai. 

Aaea batate hain kaise Prakritik aur gharelu upayo ke jariye gori skin payi ja sakti ha :- 

1. Aloo Ka Kare Prayog :

Aloo jo hum sabjiyo me khate hain use aap gol akar me kat le aur fir ise chahre par dheere-dheere male. Dhyan rahe, aloo lagane ke baad chehre ko halke garam pani se dho le. Iss tarkib se aapke chehre ka colour  saaf ho jaegare. 

2. Dahi lagaye :

Apne face par dahi rojana lagaye aur thodi derr rakhkar sukhne ke liye chod de. Jab such jaye chehre par dahi to doodh se dho le. Aapko bata de ki doodh aur dahi chehre ka rangat badhata hai. 

3. Chehre Par Bhap Kare :

Steam jise hindi me bhaap kehte hain, lena shuru kae de. Isse aapka face glow karne lagega aur chehra andar se clear bhi ho jaega. 

4. Pudina Ka Prayog :

rang gora pudina bhi karta hai. Pudine ki pattiyo ko ek bade pani ke bartan me boil kare. Subah-subah isi pani se naha le. Aap dekhenge ki kuch hi dino me aap gore hone lagenge. 

5. Amla Ka Prayog :

Chahre ki rangat wapas lane me kafi labhdayak hota hai Amla. Isliye 2 mahine tak ap amle ke murabbe ya amla ka juice piye aur phir kamala dekhe. Jo gore the pehle aur kisi karan se saanwle ho gaye hain unki chamak wapas ane lagegi aur jo saanwle hai wo gore ho jaenge.

6. Saunf Khaye Roj :

Kya aap jante  hain ki saunf khane se chehre ki rangat wapas ati hai. Rojana khana khan eke baad saunf khaya karea, kyonki yeh hamare blood ki impurities ko khatm karta hai jisse sharir me raunak ati hai. Tea aur coffee ko avoid karne ki koshish kare. 

7. Haldi Ka Banaye Lape :

Besan aur doodh me jara si haldi milakar roj nahane se pehle iss lape ko lagayenge to aapka rang gora ho jaega. Iss paste ko lagan eke baad 20-25 minute tak chod dijiyeaga phir pani se dho daleaga.

8. Badam Se Kare Scrub :

Gori skin pane ke liye yeh tarkeeb bahut faydemand hain. Raat me hi badam ko pani me bhinga kar rakh dijiyea aur phir subah uska paste bana le aur shehad milakar laga le. Isse scrub karne se rang saaf hoga jarur.

9. Masoor Ki Daal Ka Paste :

Nimbu ke rass me masoor dal ke paste me mix kar le, phir kachcha doodh bhi mila le aur chehre par laga le. 

10. Pani Khoob Piye :

Jitna ho sake utna jada pani piya kare, isse chehre me nikhar aati hai aur blood bhi purify hota hai. 

Agar aap chahte hain gore hona to upar diye gaye tips ko follow karea. Yeh natural beauty tips aapke skin ke liye har tarah se labhdayak hai. Inn tips ke alawa aap apne khane peene ka bhi dhyan jarur rakhe.

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment