घरेलू नुस्खे - घरेलू उपचार

Motape se mukti ke upay

Obesity tips in hindi

Inn Dino mota hona ek shrap mana jata hai. Har koi slim aur trim deekhna chahta hai, jo mote hote hain unhe log ek alag hi najar se dekhte hain. Kuch unhe bechare maante hain to kuch unka majaak udate hain. Ladka ho ya ladki agar galti se mota ho gaya to unke liye shaadi ek sapna reh jata hain kyonki demand patle logo ka hi hai. 

Aap bhi mote hain to ghabrane ki baat nahi, bass aap apni jivan shaily mai dhyan dena shuru kar de. Motapa aap roj exercise, time par khana kha kar aur proper diet lekar aap kam kar sakte hain. 

Motapa aapko na sirf dusro ke saamne hasi aur majaak ka topic banata hai balki iski wajah se kayi sari bimariya bhi aapko gher leti hai. Motapa kam karna chahte hain to apnaye yeh gharelu nuskhe: 

1. Exercise Kare: 

Apni daily schedule me exercise ko sabse jada importance dijiyea. Motapa kam tab hi hoga jab aapke body me se fat ghatega. Khoob cycling kre, jogging, sidhi chadhana-utarna (Stairs Ups-Down), rassi kudna, tahalna, ghumna. Iss prakar ke exercise karne se aapka weight loss jarur hoga.

2. Shahad Piye : 

Roj subah-subah ek glass thande pani mai 2 chamacch shahad mila lijiye aur piya krea. Iss tips se motapa kam ho jaega.

3. Nimbu : 

Ghar me nimbu to maujud hoga hi, iska ras gungune pani mai nichod le aur pi lijiyea. Iss tarike se aapka khana acche se pachega aur sharir bhi halka hoga. 

4. Proper Diet : 

Junk food ko avoid krea aur proper diet lijiyea isse motapa aapse koso durr rahega. Jada tala (Oily) food bhi khane se bache. 

5. Khane Ke Baad Pani Na Piye : 

Jab aap khana khate hain to turant pani nahi pijiyea. Aadhe ghante ke break ke baad hi aap paani piye. Isse aapka motapa kam hoga.

6. Koi Aur Chai Nahi Balki Green Tea Piye : 

Aap bhi agar chai pine ke shaukeen hain, to aap dudh ki chai nahi balki antioxidant se bharpur green tea ya black tea pijiye. Isse aap adhik khane se bachenge aur mota hone se bhi.

7. Neend Puri Le : 

Agar aap apni neend se samjhauta karte hain to savdhaan ho jaea kyonki yeh bhi hai aapke motape ka ek bada karan. Neend proper 6-7 ghante ka hi le.

8. Laukee juice

Laukee  ek paushtik sabji hai. ise pine se pet bhar jaata hai, isame fiber hota hai aur ye pet ko thanda rakhata hai. ise pine se ghanto tak pet bhara rahata hai aur motapa bhi control hota hai.

9. Dhaniya Juice

Dhaniya juice ko pine se kidney sahi rahati hai aur motapa bhi control rahata hai. ise pine se pet der tak bhara rahta hai aur yah sharir ki shuddhi karati hai.

 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment