घरेलू नुस्खे - घरेलू उपचार

Pet ki charbi ghatane ke upay

Home remedies for tummy fat loss in hindi

Inn dino dieting shabd bahut famous hai, ladkiyan specially khud ko well-maintain banae rakhne ke liye dieting karti hain. Sharir se charbi hatana to har koi chahta hai lekin kaise hataya jaye yeh ek bada sawaal hai. 

Aaea hum batate hain kaun si wo khaas cheeze hain jinke istemal se metabolism increase hota hai aur charbi aapki ghatti hai:

• Dalchini :

Yeh ek masala hai jo aapke blood sugar ko control me rakhta ha. Iska istemal aapko active aur energetic banata hai. Yeh chini ki matra ko body me kam karta hai jisse aapka weight kam rahega. Har roz khane me dalchini ka upyog karenge to charbi jaldi kam ho jaegi.

• Green Tea :

Charbi ko green tea bhi bahut jaldi kam kar deta hai. Isme maujud kaitechins aapke pate ki charbi ko jalane me madad karta hai. Aapko bata de ki green tea me caffeine bhi hota hai jo aapke heart beat ko increase karne me madad karta hai. 

• Dahi :

Yun to dahi ke fayde anek hain lekin isko khane se charbi ka kam hona logo ke beech jada popular hai. Lo fat aur regular dahi me probiotics hote hain jo acha bacteria mana jata hai jo hamare sharir me bachi hui charbi ko durr kar deta hai. Din me ek baar dahi jarur khaye.

• Coffee :

Yeh sab hi jante hain ki coffee me cafein hote hain jisse aapko energy milti hai aur aap hamesha active hi rehte hain. Charbi ko khatam karne me caffeine bahut helpful hota hai. Subah aur shaam ek cup coffee pijiyea charbi jaldi kam ho jaegi. 

• Mirch :

Isko bahut log napasand karte hain. Khane me mirch tez kya ho jati log khana chod dete hain. Mirch se metabolic rate badhta hai. Mirch khane se aapka body weight bhi sahi rehta hai. Mirch calorie ko kam karne me bahut madad karti hai. 

Gora hone ke gharelu tips

• Chicken aur Fish :

Iss baat se aap anjan nahi honge ki machli (fish), murgi (chicken) se hame protein milti hai. Agar aap vajan kam karna chahte hain wo bhi bass kuch din ke andar to aap high protein diet lena shuru kar de. Body ko protein pachane me sabse jada time lagta hai, isse calorie jalegi aapki aur aapka motapa kam ho jaega. Dhyan rakhe, khud ko carbohydrate aur fat wali cheezo se bahut hi durr hi rakhe. 

• Egg ka safed bhaag :

Agar aap weight kam karne ki soch rahe hain to aapke liye best hoga ande (egg) ka safed bhaag khana shuru kar de. Ande ke safed bhaag me cholesterol kam hota hai aur protein jada isliye yeh fat ko kam karne me bahut madad karta hai.

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment