घरेलू नुस्खे - घरेलू उपचार

Sardi jukam ka ilaj

Home remedies for cold and cough in hindi

Sardi-jukam ek common problem hai jo aksar mausam ke badane our thanda-garam ke khane se hota hai. Halanki  yah koi serious problem nahi hai, lekin isaka matab yah nahi ki aap ise ignore kar den. Sardi jukam ke vaise to bahut sari medicine hai lekin is tarah ki bimariyo me aise medicine kam nahi aate hain. 

Isake lie apako gharelu nuskhe our deshi upayo ko apanana chahiye.  Ye upay  saste hone ke sath-sath asardar bhi hain. Isase aap jaldi hi sardi jukam par kabu pa sakte hain. 

  1. Sardi jukam ke karan yadi gala baith jae, to raat mein sote samay char-panch kali mirch batashe ke sath khakar so jaye. isase sardi jukam thik ho jaega tatha isase gala bhi tatkal khul jata hai.
  2. Garm chij ke sevan karane ke baad thanda kha lene se aksar gala baith jaata hai. aise mein ek gram mulethi ke churan ko muh mein rakhakar kuch der chabate rahen phir vaise hi munh mein rakhakar so jaye. subah uthane ke baad gale ki sabhi broblem dur ho jayegi.
  3. Ssardi-jukam me pipali, kali mirch, saunth aur mulethi ka choorn banakar honey ke sath lena faydemand hai.
  4. Mulethi ke churan ko paan ke patte par rakhakar danto se chabakar choosate rahe, isase gala khulane ke sath-sath gale ka dard bhi door ho jaata hai.
  5. Hing, triphala, mulehati aur mishri ko nimbu ke ras mein milaakar lene se khansi kam karane mein madad milati hai.
  6. Kesar ko halke gungune pani mein milakar pest bana len. is pest ko nak , mathe, sine par aur hathon ki hatheliyon par lagane se sardi-jukam mein rahat milati hai.
  7. Sardi-jukam me ajwain ke beejo ko piskar ek patale saf suti kapade me bandhkar sone se phale sunghate rahane se labh milata hai.
  8. Tulsi our adark me oushadhi gun paye jate hain. Isake sevan se turant aaram milata hai. Isake liye aap tulasi ke panch-saat  patiyan le our usame adark ke tukade ko bhi dale. Use kuch der tak ubal le our usaka kadha bana le. Isaka istemal sardi jukam me kare. aap chahe to adark ki chay bhi pi sakate hain.
  9. Sardi-jukam me lahsun bahut hi fayademand hai. Apako bate de lahsun antibacterial, antiviral our antifungal hota hai jo sardi jukam se ladata hain. Apane jukam our sardi ko dena hai aram to lahsun ki panch kaliyo ko bhunkara khaye. 
  10. Sardi-jukam par lal pyaj se bana soup ko piye se aaram milta hai. 
  11. Raat ko sone se pahale dudh me haldi powder our gud dalkar boil kar len our use piye. Apako jaldi aram milega. 
  12. Nimbu, dalchini, our shahad ka syrup bhi sardi-khnasi me araam deta hai. Isake lie aap shahad ko tab tak garam kare jab tak vah patla na ho jaye, fir usame thodi dalchini our nimbu ka ras milakar isaka istemal karen. 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment