घरेलू नुस्खे - घरेलू उपचार

Hair straight karne ke gharelu nuskhe

How to make hair straight at home - read in hindi

Inn Dino Hair Straight Karane ka fashion chal pada hai. Ladkiyan apna sara paisa apne baal ko straight karane me phook deti hain. Ladke bhi unhi ladkiyon ko jada pasand kar rhe hain jinke khoobsurat straight hair hain. Sidhe baalo ka sabse pehla fayda hai inki dekhbhal karna behad saral hona.

Yun to kai log apne baal sidhe karwane ke liye expensive tariko ka istemal karte hai jo balo ko sirf nuksan hi pahunchata hain. Inki wajah se aapke baal rukhe aur bejan hone ke sath-sath baal jhadte bhi hain.

Aaea batate hain hair straight karne ke gharelu nuskhe:

  1. Roj sone se pehle apne baalo ko geela kar le aur phir do rekha ki khoobsurat style wali chotiya bana le. Kuch din aap yeh karenge to dekhenge ki aapki baal sidhi hone lagi hain.
  2. Straight karne ke liye aap apne baalo me doodh (milk) spray kare, isse baalo ko nutrition to milega hi saath hi aapke baal chamakdar bhi dikhenge. Rojana apne baalo me doodh spray kare aur aadhe ghante baad (30 minute) dho le.
  3. Bahut se logo ke baal curly hote hain, aise me aap baalo ko geela kar ke roller se sidha kare aur phir baal bandh le ache se. Yeh tips aap roz karenge to aapko fayda jaldi hoga.
  4. Har 5 minute me apne geele balo ko kanghi karte rahe, jab tak wah puri tarah such na jaye.
  5. Agar aap Balo me nariyal ke tel ko garam kar ke lagayenge ya phir jaitun ke tel se hamesha malish karenge to aapke baal straight ho jaenge.
  6. Doodh (milk), strawberry aur shahad (honey) ka paste bana le aur phir apne sar ke beecho-beech balo par lagaye. Ab balo ko tauliye se over karke 2 ghante ke liye chhod de. Thodi derr baad aap shampoo se balo ko dho le. Iske baad balo par kanghi kar le. Aisa karne se baal naturally straight hone lagenge.
  7. Aloe vera gel aur sarso ke tel ko milakar balo par acha se lagaye aur phir 2 ghante ke baad shampoo se dho le. Jaise hi balo ko dhoye turant fan ke niche akar balo par kanghi karna shuru kar de. Aisa tab tak kare jab tak baal puri tarah se sukh na jaye.
  8. Agar aap naturally apane baal ko majbut banana chahate hai to Lemon juice and coconut milk ka istemal kijiye. Dono ko mixed kareke uska cream conditioner bana le our use apane balo me lagaye. Lagane ke kuchh minute baad ise dho le, aapke baal bahut hi majabut ho jayenge.
  9. Castor Oil bhi baalo ko majboot karane ka ek bahut bada tarika hai. isake liye aap tel ko thoda garm kar le, usake baad use sar par massage kare our adhe ghante baad use dho le. Apake baal naturally majboot hone lagega.

Also read – Morning Walk Ke Fayde

Upar diye gaye tips ko aap ajmayenge to aapke paise faaltu ke kharch nahi honge aur ghar baithe aapke baal bhi straight ho jaenge.

Note: koi bhi gharelu tips apnane se pahle expert se jaroor salah le

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment