हेल्थ टिप्स हिन्दी

Haldi wala doodh ke fayde

Turmeric Milk health benefits in hindi

Aaj ki generation gharelu nuskhe apnane se katrati hai aur kuch bhi body me taklif hone par duniya bhar ki dawai khana shuru kar dete hain. Aise koi bhi medicines khane se aapko side effects bhi ho sakte hain. Har dawai ki ek dawai hai Haldi ka doodh. Ji haan, sirf thand (Cold) lagne par ya body me pain hone par hi nahi haldi ka doodh faydemand hai balki isko pine se anek fayde ho sakte hain aapke body me. 

Anti-septic aur Antibiotic guno se bharpur hai haldi, wahin milk me calcium ki achi matra hoti hai. Ab khud sochea jab haldi aur doodh ka sewan aap ek saath krenge to kisi amrit se kya kam hoga. 

Haldi wala doodh ke fayde :

Chott lagne par piye haldi doodh

Aaapke body ke kisi bhi hisse me chott lag jaye chahe wo internal chott ho ya external chott, haldi doodh aise chott ko jaldi theek kar deta hai. Jaisa ki haldi anti-bacterial aur anti-septic guno se bharpur hai to yeh chott ko jaldi se theek kar deta hai kyonki yeh bacteria ko panapne nahi deta hai.

Body me pain ho tab pijiyea haldi-doodh

Body ke kisi bhi parts me dard kyon na ho aap ek glass haldi wala doodh pi lijyea aapko turant aaram mil jayega. Sone se pehle haldi-doodh pi lenge to asar jaldi hoga.

Skin ko clean aur beautiful banata haldi-doodh

Rojana doodh (Milk) se aapke skin me natural shine aaegi, yehi nahi haldi wala doodh aapke skin ko andar se clean bhi kregi aur skin diseases jaise – khujli (itching), infection, pimples ke bacteria ko dheere dheere khatam kar degi. 

Thand se bhi bachata hai haldi-doodh

Cold Cough hone par haldi doodh jarur piye, yeh turant aapke body ko relief deta hai. Haldi doodh na sirf cold cough theek karta hai balki lungs disease ko bhi theek kar deta hai. Thand ke samay isko pine se aapka health acha rahega.

Hadiyon (Bones) ko strong banata hai haldi doodh

Milk me calcium bahut hoti hai jisse aapke bones strong bante hain, wahin haldi aapke bones related disease ko durr rakhta hai aapse.

Neend na aane ka desi ilaj hai haldi-doodh

Kabhi Kabhi hum kisi tension me rehte hain aur hamari neend gayab ho jati hai, aise me best option hai haldi doodh. Raat me dinner ke baad sone se pehle haldi wala doodh pi lijiyea neend bhaag kar aapke paas aa jayegi.

Blood Sugar ko bhi kam karta hai haldi-doodh

Blood me sugar ka level jada hota hai, aise me haldi doodh blood sugar ko kam karne me help karta hai.

Gale ki samasya 

Jab apako gale me koi samasya ho ya khasi ho us samay apako haldi vala doodh pina chahiye. Isase gale ki samasya door ho jati hai. 

Chot lagane par

Yadi sharir ke internal part me chot lagi ho to haldi se mila hua doodh ko sevan me laiye chot me bahut hi aaram milega. Kyoki Anti-bacterial and antiseptic guno ko karan haldi bacteria ko panapane nahi dene deta 

 

 

 

 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment