पुरुष स्वास्थ्य

Ladko ke liye beauty tips

Beauty tips for boys in hindi

Kisne kaha ki sirf mahilao ko hi fashion karne ka adhikar hai? Fashion ke maamle me ab ladke bhi ladkiyon ko peeche chod rahe hain. Mahilao ki tarah purusho ko bhi ab attractive dikhna accha lagata hai.

Well dressed ladke na sirf apni personality me chaar chaand lagate hain balki unki yeh eye-catching look ladkiyo ko bhi akarshit karti hai. Ladkiyo ka yun baar baar palat kar dekhna har ladke ki khwaish hoti hai. 

Ache aur dhang se kapde pahanne se purusho ka ek positive character dusro ke saamne aata hai. Yun to kuch ladke apne kaam kaaj ke karan khud par dhyan bilkul nahi dete hain aur fashion ka to wo word hi nahi jante hain. Lekin aaj ke iss generation me agar aage badhna hai to unhe bhi fashion ko janna hoga aur samajhna bhi hoga. 

Aaea hum aapko batate hain ki aap kaise ban sakte hain fashionable – Ladko ke liye beauty tips

1. Kapdo Ka Selection Karte Waqt Rakhe Dhyan :

Jo purush dheele-dhaale kapde pehante hain unka dusro ke samne negative impression banta hain. Purusho ko apne body ke anusar hi dress up hona chahiye.

2. Kapdo Ko Rakhe Ache Se :

Fashion karna chahte hain aur kapde kuch bhi pehan lete hain chahe wo kaise bhi avastha me kyon na ho… Ek achi personality ke liye sabse jaruri hai ki aap press kiye hue hi kapde pehanne. Isse aapka impression office me aur ladkiyo par bhi acha banega. 

Ladko ke liye gora hone ki tips

3. Sadgi (Decency) Ka Rakhe Dhyan :

Agar aap sochte hain ki fashion ka matlab hai tadak-bharak to aap galat sochte hain. Kuch log chamakdar kapdo ko hi fashion maan baithte hain jo sirf unka auro ke saamne majak banata hai. Kapde wahi pehanne jisme aapki sadgi khul kar saamne aaye. Simple aur striking dress aapko bheed me bhi ek alag pehchan dilate hai.

4. Purane Kapdo Ko Kahe ‘No’ :

Kuch purusho ki ladkiyo ki tarah aadat hoti hai naye aur ache kapdo ko almari me kaid kar ke rakhne ki aur purane kapde hi pehanne ki. Aap apni yeh aadat badal dale to acha hoga, purane aur kharab kapde aapki look kharab kar deti hai. Ek hi kapade ko bar-bar pahanna acchi baat nahi hai. Purane aur faded kapde ko turant aapne aap se dur karne me hi aapki bhalayi hai.

5. Complexion ke According Kapdo Ka Kare Chunav :

Yeh bahut jaruri hai ki aap jaan le ki aapke upar kaun kaun se colour suit karte hain. Complexion ke according hi kapde pehanne tab hi aapka look khul kar saamne aaega. Iss tips ko aajma ke aap sahi dress up kar sakte hain  jisse aap handsome dikh sakte hai. Yun to gore logo par har colour hi khilta hai lekin jo log saawle hain unhe thoda soch samajh kar hi colour ka chunaav karna chahiye. 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment