हेल्थ टिप्स हिन्दी

Liver ko swasth kaise rakhe

Liver strong tips in hindi

लीवर कैंसर के लक्षण और आयुर्वेदिक इलाज, liver cancer symptoms and treatment in hindi.

Liver hamare body ka sabse important part mana jata hai. Liver hamare stomach ke dahini (right) or niche (down) ki taraf hota hai. Liver pure body ko control karta hai, agar yeh kharab ho jaye to aapka pura body system bekar hone lagta hai. 

Kuch log galat aadaton ki wajah se apne liver ko damage kar dete hai jisse unki maut (death) bhi ho jati hai. Adhiktar logo ka liver kharab hone ke reason galat aadat ka lagna, time se khana nahi khana ya ulta seedha kuch bhi kha lena jaise junk food isse bhi liver ko khatra hota hai. 

Also Read : Tonsils Ka Desi Ilaj

Aapka Liver Inn Karno Se Ho Sakta Hai Kharab: 

Liver ko swasth kaise rakhe :

  • Kahin ka bhi ganda pani pi lene se, Jada masaledar khana khane se saath hi chatpata tadka lagakar khana khane se liver kharab hota hai.
  • Agar aapke drinking water me chlorine ki matra jada hai to aapka liver kharab ho sakta hai.
  • Vitamin B ki kami se bhi liver aapka damage ho sakta hai.
  • Choti-choti baaton par yun antibiotic dawaiyan khane se bhi liver ko effect par sakta hai.
  • Apne ghar ko clean rakhe kyonki gandagi se bhi aapke liver par asar pad sakta hai.
  • Aap Malaria, Dengue, Typhoid ke chapet me aa gaye hain to liver par bhi asar pad sakta hai.
  • Jada tea ya coffee ke peene se bhi liver kharab ho sakte hain. 

Kya Hain Liver Kharab Hone Ke Lakshan :

  1. Aapko liver wali jagah par dabane se bahut pain (dard) hoga. 
  2. Aapke Chhati (chest) me bahut jalan hoga aur bharipan jaisa bhi feel hoga. 
  3. Aapko bhukh nahi lagegi, badhajmi (indigestion) ki shikayat hogi aur pate me gas bhi banna shuru hoga.
  4. Bahut lazy aur weak feel karenge aap.
  5. Aapke muh ka taste (swad) bhi kharab ho jaega.

Liver ko swasth rakhne ke liye kya khaye

Aanwla : Vitamin C se bharpur hota hai aanwla. Aanwla khane se aapka liver kabhi kharab nahi hoga. Yeh liver ko protect karne ka kaam karta hai. Aanwla ka prayog aap apne khane me salad ke roop me ya phir raiyte me daalkar khaye. 

Palak : Aanwla ke alawa palak bhi bahut faydemand mana jata hai liver ke liye. Palak liver ko saaf karne me madad karta hai.

Akhrot : Agar aap roj ek mutthi akhrot khana shuru kar denge to dekhiyeaga aapko kabhi liver ki kisi bhi bimariyon ki shikayat nahi rahegi. 

Green Tea : Subah subah green tea peena shuru kar de, isse liver bahut ache se apna kaam krega. 

Tamatar (Tomatoes) : Inn sab ke alawa tamatar bhi liver ke liye best hai. Roj tamatar khaye aur apne liver ko fit rakhe.

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment