प्रेगनेंसी टिप्स

Pregnancy me kya karna chahiye

What should we do in pregnancy - read in hindi

Sabse pyara aur anokha rishta hota hai ek Maa aur Bacche ka. Maa banna kisi bhi mahila ke liye vardan jesa hai. Bacche ko poore 9 months Maa apne garv me rakhti hai, bacche ki har hulchul ko mehsus karti hai aur jaldi se usko duniya me lane ka intzaar karti hai. Garbhavastha ke douran mahilao ko kai tarah ke hormonal aur sharirik badlavo Ka saamna karna padta hai. Pregnancy ke samay jaruri hai ki maa hamesha khush rahe, kyonki maa khush rahegi to wo ache se khaegi aur piyegi jisse baccha bhi khush aur tandaroost rehta hai. Aeyae jante hain ki Pregnancy me kya karna chahiye

Pregnancy Care Tips in Hindi, jo aapko aur aapke bacche ko swasth rakhne me madad karega:

1. Hone Wali Maa Ka Thyroid Check Karwaye :

Pregnant hone se pehle hi hone wali maa ka thyroid checkup jarur karwaye, kyonki aajkal Hypothyroid ki samasya kafi tezi se badh rahi hai. Dhyan rahe, agar Pregnancy ke samay iss bimari ka pata nahi lagaya gaya to aapka miscarriage bhi ho sakta hai.

2. Jyada Se Jyada Pani Pilaye :

Pregnancy ke samay jitna jyada ho sake utna pani (Water) piya krea aur saath hi juice bhi pijiye. Liquid me pani aur juice pine se miscarriage, pachan tantra samasya aur urine infection aapko nahi hoga. Dinbhar me atleast 12 glass pani (Water) jarur piya kare.

3. Exercise Karwaye :

Doctor se milkar aasan exercise ka pata lagaye aur hone wali maa ko krwaye, jisse bacche par acha asar padega. Exercise sirf pregnancy ke shuruaat ke kuch months tak hi aap kar sakte hain. Aapko bata de ki Vyayam karne se aapki delivery bilkul safe hogi aur stress ka naamo nishan nahi rahega.

4. Smoking Aur Alcohol Ko Kahe “Big No” :

Hone wali Maa ko bhule se bhi kabhi smoking ya alcohol nahi lena chahiye kyonki yeh aapke bacche ke liye khatarnak saabit ho sakta hai. Maa ko koshish karna chahiye ki wah aise jagah bhi nahi rahe jahan unke aas-paas log smoking kar rahe ho ya alcohol ka majaa le rahe ho. Cigarette me maujud nicotine se bacche ko nuksaan pahuchta hai aur najar ko lekar bhi samasya paida ho sakti hai.

Yeh bhi Paden : Pink Lips Ke Liye Tips

5. Puri Neend Jarur Le :

Pregnant Maa ko neend puri leni jaruri hai. Dhyan rakhe ki Maa 8 hours ki neend le jisse unka sharir relax ho jaye aur wo pura din active rahe. Maa soyegi tab hi baccha bhi soyega aur ek accha swasth aap ko aapke bacche ki growth ke liye bahut jaruri hota hai.

pregnancy-diet-hindi_2589.jpg

6. Comfortable Chappal ya Shoes Pahne :

Fashion me aakar heels aur tight fitted shoes ya chappal pehanna band kar de. Pregnant Maa ko aaramdayak (Comfortable) chappal hi pehanna chahiye jisse aapke pairo me thakan aur sujan na aane paaye. Hill wale shoes ko durr se hi Namaste boliyea.

7. Pregnant Maa ko Jo Accha Lage Wahi karne dijiyea :

Maa jo pregnant hai unhe wahi karne de jo unka mann kare, isse maa bhi khush rahegi aur maa khush to baccha bhi khush rahega. Aise samay me jada rok tok na kre.

8. Special Moments Ko Khul Kar Enjoy Kare :

Ek aurat (Women) hi pregnant hone ka importance aur anand ko jee sakti hai. 9 months me aap kuch kaam aise karte hain jo aapne kabhi kiye nahi honge aur aapko bahut acha feel hota hoga… Aise moments ko capture kar lijiyea aur khul kar enjoy krea.

9. Khush Rehna Jaruri :

Maa jab pregnant hoti hai to sabse jaruri hota hai unka khush rehna. Maa khush rahegi to bacche par accha asar padega.

Upar diye gaye tips aapko jarur Pregnancy ke waqt apnana chahiye isse Maa aur baccha dono swasth aur khush rahega aur iss tarah aap ek swasth shishu ko janm de payenge.

10.Lagatar doctor se salah leni chahiye

Samay –samay par doctor se salah leni chahiye. Sharir me kis tarah ka utar-chadhav, sharir kis tarah se badal raha hai doctor se check-up karvaye.

11.Travel na kare

Koshish kare ki pregnancy ke douran aap travel na kare. Special condition me hi aap kahi bahar jaaye.

12. Gane sune
Pregnancy me tanav ko dur karne ke liye aap chahe to movie dekh sakte hai ya fir koi achha sa gana sun sakte hai. isase apka man shant rahega our aap achha feel bhi karenge.

13. Achhe doctor our hospital ka chunav kare
Pregnancy jaisi situation behatar hospital our achhe doctor ka hona bhut jaroori hai. aap yah bhi dhyan de ki hospital apkake ghar se kitana dur hai. Sath hi ye bhi dekhe ki hospital me kitani saf safai hai, medical facility hai ya nahi. Agar aap budget insurance facility ke bare me jan le to apke liye bahut hi achha hoga.

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment