घरेलू नुस्खे - घरेलू उपचार

Ulti ka ilaj

Vomiting home remedies in hindi

Ulti (Vomiting) kisi ko bhi tab hota hai jab koi kuch jada kha leta hai, sharab pee leta hai, pregnancy ke samay, pet ki gadbadi jaise ki acidity me bhi hota hai. Vomiting hamare sharir ka pani hi to hota hai. Ulti agar aapko lagatar ho rahi hai to aapke body ka sara pani khatam ho jaega jisse aapki jaan bhi ja sakti hai. Aise samay me doctor se consult jarur kare aap jisse aap jaldi theek ho sake. 

Aap ulti ko rok sakte hain, apnaye ye gharelu nuskhe jisse ruk jaegi ulti – Ulti ka ilaj in hindi :

1. Sirka :

Kala namak ko sirka me mila le aur phir chaate, ulti jarur ruk jaegi.

2. Chawal ka pani pilaye :

Hyper acidity bhi ulti ki wajah ho sakti hai, aise me aap chawal ka pani ubale, use thanda kare aur phir pi le.

3. Pyaz ka ras :

Pyaz ko gheeskar uska ras nikal le aur phir kali mirch dalkar usko har 2 ghante me sevan kare, ulti nahi hogi.

4. Barf :

Barf (Ice) choosna bhi ulti ke samay faydemand hai.

5. Nimbu (Lemon) :

Ulti agar lagatar ho rahi hai to nimbu ka ek tukda muh me dabaye rakhe

6. Shahad (Honey) :

Ek glass pani me shahad milakar peene se bhi ulti ruk jati hai.

7. Elaichi :

Aapko jaise hi ulti ka ehsaas ho aap turant elaichi ko kha le, aaram jaldi milega. Elaichi se pet ki acidity bhi shaant hoti hai.

8. Lahsun :

Agar yatra ke dauran aapko ulti aati hai to lahsun ki 2 kaliya chabaye, ulti nahi hogi.

9. Adrak :

Agar aap chai peete hain to ulti feel hote hi ek cup adrak wali chai pi le, aap acha mehsus karne lagenge.

10.Dalchini :

Shahad ke saath dalchini ko pani me milakar peene se bhi aapko ulti nahi hogi.

Hamara yeh article aapko jarur ulti rokne me madad karega, bass aap upar diye gaye tips ko follow kare.

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment