हेल्थ टिप्स हिन्दी

Black tea peene ke fayde

black tea health benefits in hindi

Chai job hi ho log iske deewane hain. Kuch log to sirf chai ke sahare hi pura din kaat lete hain. Aise me janna jaruri hai ki kaun si tea aapke liye kitni labhdayak hai. Aaj hum batane jar he hain aapko black tea ke baare me.

Black Tea ek consumed tea hai jo health ke liye achi hai. Yeh chai thodi alag tarike se banayi jati hai aur bahut faydemand hai. Aae batate hai Is tea ko banane ka tarika dusri tea ki comparison me thoda bahut alag hai. 

Caffeine, amino acids, carbohydrates, proteins, potassium, minerals, manganese, fluoride and polyphenols se bharpur hai black tea. Yehi nahi black tea me catechins, tannin, guanine, purine, gallic esters and xanthine bhi shamil hota hai.

Black tea peene ke fayde , Yahan Jane 

1. Heart Attack Aur Cancer Ka Khatra Kam :

Report ke anusar din me 3 cup chai pine wale logo ko heart attack ka khatra kam hota hai. Yeh chai cancer se bhi bachata hai. Black tea me catechin antioxidants hota hai, jo ki oral cancer se bhi bachata hai.

2. Diabetes patient ke liye bhi best hai black tea :

Yeh chai diabetes nahi badhata hai. Kali Chai niyamit roop se pine vale logo ki dhamniya me blood clot nahi ban pata hai.

3. Memory ko boost karta hai black tea :

Jaisa ki isme caffeine ki matara bahut kam hoti hai, isliye yeh brain me blood flow ko sucharu roop se chalane me madad karta hai. Yeh memory ko boost kafi tezi se karta hai.

4. Digestive System ko improve karta hai black tea :

Aap job hi khate hain usko pachane me madad karta hai black tea. Digestive process ko improve to karta hi hai saath hi black tea peene se aapki pet se judi har samasya dur ho jati hai.

5. Bones ko strong banata hai black tea :

Phytochemicals bones aur connective tissue ko majbut banati hai black tea. Kehte hain ki black tea peene valo ki bones bahut strong hoti hai. Iske peene vale logo ka cholesterol level hamesha control me hi rahta hai.

6. Skin ke daag dhabbo ko durr karta hai black tea :

Vitamin B2, C and E, magnesium, potassium and zinc, polyphenols tatha tannin se bharpur black tea, aapke skin ke liye bahut faydemand hai. Skin infection se bhi bachata hai aapko. Saath hi chehre ke daag aur dhabbe ko bhi khatam karta hai. Yeh aapke skin se jhudiyo ko bhi hatata hai. 

7. Aapke vajan ko bhi ghatane me madad karta hai black tea :

Agar aap apna vajan kam karna chahte hain to black tea peena shuru kar dijiyea. Black Tea me paye jane wale antioxidant weight ko kam karte hai kyoki aap isme na to dudh milate hai aur nahi chini.

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment