हेल्थ टिप्स हिन्दी

Confidence badhane ke tarike in hindi

How to increase confidence, read in hindi

Jis tarah haath ki paancho ungli barabar nahi hoti theek usi tarah har koi confident nahi hota. Kuch log aapko jarur milenge jinhe khud par confident hota hai aur kuch aise bhi log milenge jinhe kuch jada hi khud par yakeen hota hai jise hum over confident bhi kehte hain.  Kai logo me confidence ki bahut kami rehti he, jiske karan unke andar talent hone ke baad bhi wo apna talent nahi dikha pate, wahin kai confidence ke abhav ke karan dusro ke saamne bhi jane se darte hai ya phir stage par bolne se.

Ladke jinke andar confidence ke kami hoti hai wo apne dil ki baat kisi ladki se bhi bolne se darte hain. Confidence ess kare logoko apne confidence se. Aaea batate hain aap kaise badha sakte hain confidence:

1. Nakaratmak Vicharo Se Rakhe Khud Ko Durr : 

Kya aap jante hain ki aapke nakaratmak vichar (negative thoughts) hi aapke confidence level ko kam kar deti hai. Aksar log nakartmak vicharo jaise – ‘Mai aisa nahi kar sakta hu ya Mai aisa nahi kar paunga’, ‘Mai kuch bhi nahi hu’, ‘log kya kahenge, kya sochenge, ye kaise kare”… Jo log inhi sawalo ke beech me reh jate hain unka life me aage badhna difficult ho jata hai. 

Dhyan Rakhe ki jo talent aapme hai, dusre kisi me shayad na ho. God sabko alag banata hai aur ek khaas talent ke saath. Khud ko aap importance denge tab hi dusre log bhi aapko important manenge. 

2. Sakaratmak Network Ke Beech Rahe :

Khud ko aise logo ke around rakhe jo aapko positive thoughts dete hain. Aise logo se khud ko bachaye jo sirf aapki kamiya batate hain aur aapka confidence bhi kam kar dete hain. Khud ko ache aur sachche logo ke beech hi rakhe. Aise dost ya parivar ke sadasya aapko hamesha top par dekhna chahte hai. Ek successful insaan banne me ache vichar logo ki bahut help mani jati hai. 

3. Apne Talent Ko Jane :

Har insaan apne aap me khaas hota hai bass derr hoti hai khud ke talent ko pehchanne ki. Acha ye hoga ki aap apne andar ke pratibha (talent) ko jane. Talent kuch bhi ho sakta hai jaise – art, music, writing, dance. 

4. Khud Par Proud Feel Jarur Kare :

Aap jaise bhi hain khud par garv (proud) karna na bhule. Aap apni kaushalya aur pratibha par garva mehasus karna chahiye. Iss karan se aap apna atmaviswas badha sakte hai. 

5. Smile Ko Na Bhule Aur Roz Mirror Dekhe :

Yeh bahut kam log jante hain ki smile karne se aur mirror me khud ko dekhne se hamara 100% atmaviswas badh jata hai. Muskurake aaina mai dekhne se hame pata chalta hai ki hamare positive thoughts ke karan confidence level badh gaya hai. Confidence aane se insaan khush rehta hai jo usko mirror me dekhne se pata chalta hai. 

Upar diye gaye 5 points ke alawa sabse important tips yeh hai confidence increase karne ki aap “Khud par bharosa rakhe”. Ji haan, bharosa khud par karne se aapka confidence to badhega hi saath aap hamesha life me khush bhi rahenge. 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment