हेल्थ टिप्स हिन्दी

Fitkari ka upyog

Fitkari uses in hindi

Fitkari ka naam to aapne suna hi hoga lekin aaj aap chawk jaenge jab aap janenge ki fitkari hamare body ke liye kitni jaruri hai.

Aaea batate hain kaise fitkari hai aapke liye upyogi aur kya kya ho sakte hain Fitkari ka upyog :

• Fitkari ke jariye aap gandagi ko aasani se saaf kar sakte hain. Fitkari se peene ka paani bhi saaf hota hai taki paani me maujud kitanu sab khatam ho jaye. Yehi nahi aapke skin ki safayi me bhi bahut madadgar sabit ho sakti hai fitkari.

• Blood ka flow ko kam karne ke liye bhi aap fitkari ka istemal kar sakte hain. Jab bhi kabhi khel-kud ke dauran ya koi choti accident se chott lag jaye to turant fitkari se khoon ka behna roka ja sakta hai. Aapko bata de ki fitkari lagane se bacteria bhi nahi hote hain.

• Kya aapko urine related koi problem hai ya koi infection, to iss pareshani ka bhi hal hai fitkari. Aise samay me aap fitkari se apna gupt ang ki safayi kare, isse bacteria khatam ho jaega aur infection bhi nahi failega.

• Aksar pimples ya muhaso ke karan chehre par daag dhabbe ke nishan ho jate hai, aise me bhi fitkari bada upyogi mana jata hai. Rojana fitkari se chehre ko wash kre phir dekhe kamal aapka skin kaise daag dhabbo se nijat pa lega aur chamakne lagega.

• Daant ka dard sabse painful hota hai, aise me aapko aaram dila sakta hai fitkari. Jis daant me dard ho raha ho wahan fitkari ka powder laga lijiyea dard chu mantar ho jaega.

• Sans lete samay badbu aana adhikatar logo ki ek samasya hai. Is samsya ko dur karne ke liye aap fitkari ko upayog me la sakte hai. yah na keval bacteria ko badhane se rokata hai balki bacteria ko saf bhi karta hai.

• Fitkari fate hue heals ke lie bhi labhkari hai. isake alava chote-mote chot me bhi fitkari ek ramban ka kaam karta hai.

Fitkari ke itne sare upyog ho sakte hain kya aapne kabhi socha tha. Fitkari ko aaj hi bajaar se kharid lijiyea aur iska use karna shuru kar dijiyea. Yeh bade kaam ki cheez hai jisse aapko laabh milega.

 

 

 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment