हेल्थ टिप्स हिन्दी

Garmi me kya khaye

What should we eat in summers - read in hindi

Garmiya shuru hoti nahi ki chinta shuru ho jati hai ki kya khaye aur kya nahi khaye. Yeh mausam aapke liye bahut hanikarak tab sabit ho sakta hai jab aap apne khane peene ka dhyan nahi rakhenge. 

Aaea batate hai aisi hi kuch cheeze jinhe garmiyo me jarur khana chahiye taki aapka body thanda rahe: 

• Khubani (Apricot) :

Isme bita-caratein hota hai, jisme anti-oxidents hote hai. Isko khane se cancer aur koi bhi heart diseases aapko nahi hogi. Yeh skin ke liye bhi bahut faydemand hota hai, kyonki yeh skin ko oily nahi hone deta. 

• Chaach :

Garmi me agar aapko apne body ko lambe samay tak thanda rakhna hai to chaach jarur piye. Isme maujud lactic acid baki kisi bhi soft drink se jyada laabhkari banata hai. Yeh aapko hamesha active rakhta hai. Isko rojana khana khan eke baad piye kyonki yeh aapke paachan shakti ko badhata hai. Isme kaafi adhik matra me calcium, potassium aur zinc maujud hote hai.

• Coconut Water :

Garmi me best hota hai nariyal pani (coconut water). Iss pani me calcium, chloride aur potassium bahut adhik matra me payi jati hai. 

• Corn (Bhutta) :

Isko khane se aapka digestion hamesha sahi rahega. Corn me vitamin C, magnesium, phosphorous aur pholet paya jata hai. 

• Cucumber (Kheera) :

Pani ki kami body me nahi ho iske liye kheera khana shuru kar de. Yeh garmi ke liye perfect hota hai. Jiske skin oily hai unke liye kheera bahut upyogi hai kyonki yeh skin se oil bahar nikalne me madad karta hai. Garmi me isko khane se aapko kabhi gas, acidity ya chest me jalan ki shikayat nahi hogi. 

• Jackfruit (Kathal) :

Garmi me yeh sabji khoob bajaar me milti hai. Isko khane se aapka blood pressure hamesha control me rahega. 

• Kiwi :

Yeh fruit B1, B2, B3, Vitamin C, Vitamin K se bharpur hoti hai. Isko khane se aapke heart, teeth, kidney aur brain hamesha swasth rahenge. Yeh bones ke liye bhi bahut acha mana jata hai. 

• Mango :

Aam bhala kisko pasand nahi hoga. Yeh garmi me khoob paya jata hai. Iss fruit me vitamin C aur iron ki achi matra hoti hai. Pregnancy ke samay isko jarur khaye. 

• Watermelon (Tarbooj) :

Garmi me aksar aapke body me paani ki kami ho jati hai, aise me jaruri hai ki aap wo cheeje jarur khaye jisse sharir ka paani kabhi kam na ho. Tarbooj hamare body me pani ki kami ko pura karta hai. Garmi me specially ise khoob khaye kyonki isme sodium, potassium aur vitamin B se yeh bharpur hai.

• Ninmu pani :

Aap chahe to ninnbu pani pi sakte hain. Yah aapke tabiyat ko thik rakhega hi saath hi saath apako taro taja bhi rakhega.
 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment