ब्यूटी टिप्स

Garmi me kya pehne aur kya nhi

What to wear in summer and what to not

Bharat ek eisa desh hai jaha har cheej me vividhita (Diversity) hai. yaha khan-paan, rahan-sahan kea alava mausam me bhi vividhita hai. pure saal ek jaisa mausam nahi rahata. Kabi thand, kabhi barish to kabhi karmi hoti hai. badalte mausam ke saath logo ke pahanave me bhi badlav aane lagta hai. jis tarah mausam ke hisab se logo ke khan pan our rahan sahan me badlav aata hai usi tarah fashion me bhi badlav dekhane ko milta hai. 

Garmi ka mausam shuru ho gaya hai. Aise me apane kapadon ka bhi vishesh dhyaan dena padata hai. garmiyon me kapade aise hone chahiye jo dikhane me stylish ho aur aramdayak bhi. Aaiye jante hain garmi ke mausam me kya pahanana chahiye. 

1. Kya pahane 

Halke rang ke kapde pahane. 

Garmi ke mausam me halke rang ke kapade pahane chahiye. Ye halke rang ke kapde apako garmi me rahat denge tatha apako fashion se bhi door nahi hone denge. Apako is tarah ke kapade bajar me mil jayenge. Aap apane hisab se colors ko pasand kijiye our is tarah ke kapde ko ghar laiye. market me in dino white, pink, purple, violet adi rangon ke cotton aur jorjet me top chhaye hue hain jo stylish bhi hain aur aramdayak bhi.

Colors ka rakhe dhyan 

Garmi ke mausam me dress ka color halke rang ka hona chahiye. Aap Mix cotton, chiffon, linen, Georgette, Handloom and Khadi se bane vastra ka prayog garmiyo ke mausam me kar sakate hain. 

Designer top

Market me designer top ki variety maujud hai, jo apako har budget me mil jayegi. ye top aap jeans ya skirt kisi ke saath bhi pahan sakate hain.

Jumpsuit aur shorts

Vaise aajakal jumpsuit aur shorts bhi kafi fashion me hain. agar aap kuchh naya try karana chahate hain to ye le sakate hain. ye dress fashionable bhi hain aur comfortable bhi.

Dhile kapade pahane 

Koshish kare ki aise mausam me dhile kapade pahne. Tight fitting vale kapado se aap uncomfortable mahasus karenge our garmi bhi lagegi. 

2. Kya na pahane

Bahar sleeveless kapade na pahne 

Aap koshish kare ki dophar ke samay sleeveless kapde na pahane. Isase apaki hatho ki tvacha ko nuksan ho sakata hai. bahar nikalte samay aap eisi dress pahane jo cotton hone ke saath full sleeve  ho. Aap chahe to ghar ke andar sleeveless kapade pahan sakte hain.   

In kapado se dur rahe. 

Silk, satin, synthetic, nylon our velvet fabrics aadi kapade se duri banakar rakhe. Is tarah ke kapade pahane se apako infection ho sakta hai. 

Kale kapade na pahane 

Garmiyo me kale kapade pahana garmi ko invite karna hai. aise kapde pahane se garmiyo me our garmi lagti hai. isaliye isase duri banakar rakhe. 

डिसक्लेमर : Sehatgyan.com में जानकारी देने का हर तरह से वास्तविकता का संभावित प्रयास किया गया है। इसकी नैतिक जिम्मेदारी sehatgyan.com की नहीं है। sehatgyan.com में दी गई जानकारी पाठकों के ज्ञानवर्धन के लिए है। अतः हम आप से निवेदन करते हैं की किसी भी उपाय का प्रयोग करने से पहले अपने चिकित्सक से सलह लें। हमारा उद्देश्य आपको जागरूक करना है। आपका डाॅक्टर ही आपकी सेहत बेहतर जानता है इसलिए उसका कोई विकल्प नहीं है।

Leave a Comment